Ghazal - Khushiyon ke liye afsurda hain | Album - "Dekho Toh" | Produced by: Mridula Satish Tandon
Poet: Farhat Shahzad writer of Ghazal Kehna Ussey sung by Mehdi Hasan
Music Arrangement: Ustad Aleem Khan
Ghazal Lyrics :_
खुशियों के लिए अफ़सुर्दा हैं शहज़ाद मियाँ दीवाने हैं | अब कौन इन्हें ये समझाए दुःख सुख तो आने जाने हैं
Khushiyon ke liye afsurda hain Shahzad miyan deewane hain | Ab kaun inhein ye samjhaaye dukh sukh toh aane jaane hain
जीवन के दहकते सहरा में इक उम्र भटकने का हासिल | यादों की चंद बरातें हैं कुछ सोच के ताने बाने हैं
Jeewan ke dehkate sehra mein ik umr bhatakne ka haasil | Yaadon ki chand baraatein hain, kucch soch ke taane baane hain
अंजाम-ए-सफ़र से कुछ पहले ये राज़ खुला के हम अब तक | जिन राहों पर थे महवे सफ़र मंजिल उनकी वीरानी है
Anjaam -e-safar se kucch pehle ye raaz khula ke hum ab tak | Jin raahon per the mehwe-safar, manzil unki viraani hai
कुछ खून रगों में है अब तक जिस-से इक शक्ल सजानी है | अपने सुल्झावे उलझा कर कुछ उल्झावे सुलझाने हैं
Kucch khoon ragon mein hai baaki jis-se ik shakl sajaani hai | Apne suljhaawey uljha kar kucch uljhaawey suljhaane hain
हम लाख इसे समझाते हैं कमबख्त ये दिल सुनता ही नहीं | जब अपने अपने बन न सके बेगाने तो बेगाने हैं
Hum lakh ise samjhatey hain kambakht ye dil suntan hi nahin | Jab apne apne ban na sakey begaaney toh begaaney hain
अब कौन इन्हें ये समझाए दुःख सुख तो आने जाने हैं | खुशियों के लिए अफ़सुर्दा हैं शहज़ाद मियाँ दी
Ab kaun inhein ye samjhaaye dukh sukh toh aane jaane hain | Khushiyon ke liye afsurda hain Shahzad miyan deewane hain